Phir daraar padi.
Desh ke hariyali kheton me.
Jahan sunehare sapon ki fasalein lehlehati thi
Khoon pasine se jo seenchi jaati thi
Un umeedon par ab do paani pher
Na ho aas ki chingari ,rahe bas raakh ki dher.
Phir daraar padi
Jahan sunehare sapon ki fasalein lehlehati thi
Khoon pasine se jo seenchi jaati thi
Un umeedon par ab do paani pher
Na ho aas ki chingari ,rahe bas raakh ki dher.
Phir daraar padi
Ekta ke adbhut aaine me
Har tukda hai Punjab Sindh Gujarat Maratha
Bharat jo kehta , bas woh hota jhootha
Bharat jo kehta , bas woh hota jhootha
Kaise jodenge yeh tukade , yeh kaanch
Pighal gaye hain lagte hi jaati bhed ki aanch.
Pighal gaye hain lagte hi jaati bhed ki aanch.
Phir daraar padi
Na thi iss baar matrubhasha, karan .
Bhasha ab ek hi aati hai samajh me
Jab woh ho tu-tu mai-mai .
Jab woh ho tu-tu mai-mai .
Phir chahe ho woh log sirf chand
Kar dete hain woh har ek ki bolti band.
Kar dete hain woh har ek ki bolti band.
Phir daraar padi
Desh ke ujjwal vartamaan me .
Jo dekhe ithihaas ko palatke panne
Jo dekhe ithihaas ko palatke panne
Woh kya denge naya itihaas banne ?
Woh bhavishya hi kahan , sirf andheraa hai
Jin lapton ne Bharat ko gheraa hai .
2 comments:
Wah wah BAhut badhiya,Hridaya ki Peeda mehsoos hoti hai shabdo maine. Likhtey rahiye.
Wowww Shubhsss.....
bahut badhiya likha hai aapne!! ekdum dil ko chuu liya!
Post a Comment